Al-Quran In Urdu Translation | Best Quran’s Urdu Translation | Quran With Urdu Translate 2017 | Beautiful Quranic Pictures And Wallpapers | Most Beautiful Quran In Urdu Translation

Aor Subha O Sham Apny Rub Ky Nam Ka Zikr Kia Karein, Aor Raat Ki Kuch Gharyan Is 
Ky Hazoor Sajda O Rezi Kia Karein Aor Raat Ky (Baqya) Taweel Hissa Main Us Ki 
Tassbeh Kia Karein, Beshak Ye (Taliban e Dunya) Jald Milny Waly Mafaad Ko
 Aziz Rakhty Hain Aor Sakht Bhari Din (Ki Yaad) Ko 
Apny Pass E Pussht Chory Hoy Hain,
(Al-Quran : 76:25,26,27) 
So Aap Bhi Kisi Yateem Par Sakhti Na Farmaein Aor (Apny Dar Ky) Kisi 
Mangty Ko Na Jhirkein Aor Apny Rub Ki Nehmton Ka (Khoob) 
Tazkira Karein. 
(Al-Quran : 93:09,10,11 )
Jo Shakhs Dunya (Ki Assodghi) Ka Khuaeishmand Ho To Hum Us Main Se 
Jissy Chahty Hain Aor Jitna Chahty Hain Jaid Dety Hain. Pher Us Ky Ley 
Jhanum Ko(Thikana) Muqarr Kar Rakha Hai. Jis Main Wo Nafreen Sun Kr 
Aor (Darghah Khuda Se) Randa Ho Kar Dakhil Ho Ga. 
(Al-Quran : 17:18 )
Beshak Jo Log ALLAH Ky Aehed Aor Apni Qasmoon Ka Thori Si Qeemat Ky Ewazz 
Soda Kar Dety Hain.Yehi Wo Log Hai Jin Ky Ley Akhirat Main Koi Hissa Nahi Aor 
Na Qayyamat Ky Din ALLAH Un Se Kalaam Farmaye Ga Aor Na He Un Ki Taraf Nigha 
Farmaaye Ga Aor Na Unhain Pakezghi De Ga Aor Un Ky Ley 
Dadnaak Hazzab Ho Ga, 
(Al-Quran :03:77) 
Keh Do Tum (Khuda Ko) ALLAH (Ky Nam Se) Pukaro Ya Rehman (Ky Nam Se) 
Jis Nam Se Pukaro Us Ky Sub Achy Nam Hain.Aor Nimaaz Na Buland Awaaz 
Se Parho Na Aiesta Bal-K Us Ky Beech Ka Tarika Ikhtiyar Karo. 
(Al-Quran:17:110)
Haan Jo Apna Wahda Pora Kary Aor Taqwa Ikhtiyar Kary (Us Par Waqiahi Koi 
Muhakhiza Nahi) So Beshak ALLAH Parheazgharoon Se Muhabbat 
Farmata Hai. 
(Al-Quran :03:76) 
———————————
Al-Quran In Urdu Translation | Best Quran’s Urdu Translation | Quran With Urdu Translate 2017 | Beautiful Quranic Pictures And Wallpapers | Most Beautiful Quran In Urdu Translation

Quran In Urdu Translate Beautiful Post | Al- Quran In Urdu Best Islamic Wallpapers | Latest Islamic Hd Wallpapers 2017 | Most Beautiful Quranic Posts

Aor Mashriq O Maghrib (Sub) ALLAH He Ka Hai, Pss Tum Jidhar Bhi Rukh Karo 
Udhar He ALLAH Ki Tawjjy Hai (Yahni Har Simt He ALLAH Ki Jalwa Ghari Hai), Bashak 
ALLAH Bari Wushat Wala Sub Kuch Jan,ny Wala Hai,
(Al-Quran: 02:115)
Ay Emaan Walo! Tum Apni Awaazun Ko Nabi E Akram (S.A.W.W) Ki Awaaz Se Buland Mat Kia 
Karo Aor Un Ky Sath Is Tarha Buland Awaaz Se Bat (Bhi) Na Kia Karo Jeisy Tum Aik Dosry Se Buland Awaaz Ky Sath Karty Ho (Aisa Na Ho) Ky Tumhary Sary Ammal He (Emaan Sameat) 
Gharat Ho Jaein Aor Tumhein (Emaan Aor Ammal Ky Barbad Ho Jany Ka) Shahoor Tak Bhi Na Ho.
(Al-Quran :49:02 )
Aor Tum Khud Kuch Nai Chah Sakty Siwaye Is Ky Jo ALLAH Chahey, Beshak 
ALLAH Khub Jan,ny Wala Aor Hikmat Wala Hai, Wo Jissy Chahta Hai Apni Rahmat (Ky Dairy) 
Main Dakhil Farma Leta Hai, Aor Zalimon Ky Ley Us Ne Dadnaak Azzab Tiyar Kar Rakha Hai.
(Al-Quran :76:30,31)
(Aor Nai Sochty Ky) Hum Ne Unhein Peda Farmaya Hai Aor Un Ky Jhoor Jhoor Ko Mazboot 
Banaya Hai, Aor Hum Jub Chahein(Unhein) Unhi Jeisy Logon Se Badal Dalein, 
Beshak Ye (Quran) Nasihat Hai, So Jo Koi Chahey Apny Rub Ki Taraf (Pohncny Ka) 
Rasta Ikhtayar Kar Ley, 
(Al-Quran :76:28,29 )

Al- Quran With Urdu Translate | Quran With Urdu | Best Islamic Hd Wallpapers 2017 | Most Beautiful Islamic Hd Wallpapers

Jin Par Koi Musibat Parti Hai To Kehty Hain: Beshak Hum Bhi To Allah He Ka (Maal) Hain 
Aor Hum Bhi Usi Ki Taraf Palat Kar Jany Waly Hain, Yehi Wo Log Hain Jin Par Un Ky Rub Ki
Taraf Se Peh Dar Peh Nawazshain Hain Aor Rehmat Hai,
Yehi Log Hadeyat Yafta Hain,
(Al-Quran:02:156,157)
Ay Emaan Walo! Aesy Logon Main Se Jinhein Tum Se Pehly Kitaab Di Gai Thi,
Un Ko Jo Tumharey Deen Ko Hanssi Aor Kheal Banaey Hoy Hain Aor Kafiron Ko Dost Matt
Banaao, Aor ALLAH Se Darty Raho Bhshart E Ky Tum (Waqyai) Sahib E Emaan Ho,
(Al-Quran:05:57)
So Tum Mujhy Yaad Karo Main Tumhein Yaad Rakhon Ga Aor Mera Shukkar Ada Kia Karo
Aor Meri NaShukri Na Kia Karo,
(Al- Quran: 02:152)
Aor Hum Zaroor Bal Zaroor Tumein Aazmaein Gey Kuch Khoof Aor Bhookh Se Aor Kuch
Maloon Se Aor Janon Aor Phallon Ky Nuqsaan Se, (Ay Habib!) Aap (Un) Sabbar Karny Walon Ko
Khushkhabry Suna Den,
(Al-Quran:02:155)
Bal-K Unhun Ne Qayyamant Ko (Bhi) Jhutla Dia Hai, Aor Hum Ne (Har) Us Shaks Ky Ley 
Jo Quyyamant Ko Jhutlata Hai (Dhozakh Ki) Bharakti Hoi Aag Tiyaar Kar Rakhi Hai,Jub Wo 
(Aatish E Dhozakh) Door Ki Jagha Se (He) Un Ky Samny Ho Gi Ye Us Ky Josh Marny Aor Chinghaarny Ki Awaaz Ko Sunein Gey. 
(Al-Quran: 25:11,12)

Al-Quran With Urdu Translate | Most Beautiful Islamic Hd Wallpapers | Quran With Urdu Translate | Best Islamic Post 2017


“Ye Allah Ki Hadayat Hai Wo Apny Bandon Main Jisy Chahta Hai Is K y Zariye Rehnumai Farmata Hai, Aor Agar (Bl-Farz) Ye Log Shirk Karty To Un Ky Wo Sary Ammal E (Khair) Zabbt (Yahni Neasst O Nabood) Ho Jaty Jo Wo Injaam Dety Thy”.
(Al-Quran :06 :88) 

Mamino ! Jub TumSe Kaha Jaey Ky Majlis Main Khul Kr Betho To Khul Kr Betha Karo. Allah Tum Ko Kushaidgi Bakshy Ga. Aor Jub Kaha Jae Ky Uth Khary Ho To Uth Khary Hoa Karo. Jo Log Tum Main Se Emaan Laey Hain Aor Jin Ko Elam Ata Kia Gia Hai Allah Un Ky Darajy Buland Kary Ga. Aor Allah Tumary Sub Kamon Se Wakif  Hai.
(Al-Quran :33:56 )


Kia Tum Ko Mahloom Nahi Ky Ky Jo Kuch Aasmanon Main Hai Aor Jo Kuch Zameen Main Hai Allah Ko Sub Mahloom Hai. (Kisi Jagha) 3 (Sakhson) Ka (Majmah Aor) Kanon Main Salah O  Mashwara Nahi Hota Magar Wo Un Main 4tha  Hota Hai Aor Na Kahein 5 Ka Aor Un Main 6tha Hota Hai Aor Na Un Km Ya Zaida Magar Wo Un Ky Sath Hota Hai Khwa Wo Kahein Hon. Aor Jo Jo Kam Ye Karty Rahy Hain Qayyamat Ky Din Wo (Aik Aik ) Un Ko Bataey Ga. Beshak Allah Har Cheez Se Wakif Hai.
(Al-Quran :58:07)

Al-Quran Urdu | Hd Islamic Wallpapers | Quran With Urdu Translate | Most Beautiful Quran Post And Wallpapers

“Aor Jo Log Subha O Shaam Apny Parwardigar Ko Pokarty Hain Aor Us Ki Khushnodi Ky Talib Hain. Un Ky Sath Sabar Karty Raho. Aor Tumari Nighaaein Un Main (Guzar Kr Aor Taraf) Na Dhodein Ky Tum Araish E Zindagani Dunya Ky Khastghar Ho Jao. Aor Jis Shakhs Ky Dil Ko Hum Ne Apni Yaad Se Ghafil Kar Dia Hai Aor Wo Apni Khwaish Ki Perwi Karta Hai Aor Us Ka Kaam Had Se Bhar Gia Hai Us Ka Kehna Na Man,na”
(Al-Quran: 18:28)